Pyaar Tune Kya Kiya………..

lovers3

December ki thandi apana aagaz de rahi thi. Iss saal thandi kuch jyada hi thi. Mere agale photoshoot ke assignment ke liye mujhe Ghaziabad jana tha. Aaj subah hi mein yaha par pohocha. Mera frnd yaha par rehata hai, toh uske ghar mein 1 week ruknewala tha. Wo tab ghar par nahi tha, par usne keys mujhe de rakhi thi, toh mene mera saaman rakh kar, apna camera liya aur kaam ke liye nikal pada.

Subah ka waqt tha, sab chote bachhe school jaa rahe the. Unke kuch pics liye mene. Thandi mein subah uth kar school jaane ko kisi bhi bachhe ka mann nahi karta, par to bhi jana pad raha tha. Unke chehare par ka gussa, neend, innocence sab capture karne ki koshish kar raha tha. Uske baad ek dhhabe par mein coffee peene ruk gaya. Apna laptop nikal kar jo pics mene click kiye wo mein dekh raha tha. Tabhi mene kisi ko toh uss dhabe mein jaate hue dekha. Usse dekhte hi mujhe laga ki mene kahi pe toh dekha hai usko. Wo kuch khane ke liye le raha tha. Mein bohat yaad karne ki koshish kar raha tha, tab mene mere laptop mein mere photoshoot ke folders mein dhoondha. Yess…I was right..ye wahi tha. Bombay mein jab mene Bandastand mein ek photshoot kiya tha…tab mera ek pic magazine ke liye select hua tha. Ek couple pic tha jissmein mein ek ladka apni gf ko propose kar raha tha..aur ye wahi ladka tha. Mein uske pass gaya aur mene pucha ki “aap Bombay se ho naa?”..usne mujhe aur dekha aur kaha ki “Nahi…” Mene usse kaha ki mujhe kuch dikhana hai aapko, aur mene usko wo pic dikhaya. Wo pic dekh kar pehale to wo bohat khush hua, par dusre hi pal uske ankh mein aansu aa gaye.. Mene usse pucha ki “kya hua”..?? Wo khamosh ho gaya tha. Mein usse apne table par lekar gaya..aur usse apne baarein mein sab bataya.  Mene phir usse pucha ki kya hua?? Tum ro kyun rahe ho..?? Usne mujhse pucha ki kya ye pic mein rakh sakta hu kya mere pass…Mene kaha Haa, le lena..Mene usse phirse pucha ki sab thik hai naa…tum pic dekh kar ro kyun rahe the..  Uske baad usne apne baarein mein batana shuru kiya…

2 saal pehale Bombay aaya tha mein.. Mene logo se kehate suna tha ki agar tumhe kaam chahiye toh tumhe Bombay jana padega. Mera naam hai Ravi.. aur haa kaam ke saath saath mujhe waha mera naam bhi kamana tha..Toh paise kamane ke liye Bombay aa gaya. Jiss din yaha pe aaya, tab pata chala ki iss shehar ko sapno ka shehar kyun kaha jata hai. Pehale 2-3 din raste par hi raha. Jiss jagah par mein sota tha, wahi pe bohat sari chotisi zopadiya thi. Ek bohat bada traffic signal hai, wahi par ye zopdiya thi. Ek din ek insaan waha pe aaya, wo wahi pe rehata tha, usne mujhe mere barrein mein pucha, mene sab bataya, toh unohone bola ki chalo mere saath mein tumhe kaam dilate hu, aur rehana ka intazaam karta hu. unhone mujhe wahi pe traffic signal pe kaam dilwaya, aur mujhe kaha ki ye shehar tumhe bhuka jaga toh dega, par kabhi bhuka sulayega nahi.. Bachho ke khilone, phool, newapaper, magazine ye sab bechta tha mein. Abdul chacha naam tha unka. 4 mahine baad unka dehant ho gaya. Wo bohat beemar raha karte the. Bohat taklif hui uss din, par zindagi kabhi kisi ke liye nahi rukati. Mene phir pass mein hi ek garage tha, waha pe bhi kaam karna shuru kiya.

Bombay….Sapno ka shehar. Jaha pe roj lakho sapne bante hai aur tootate hai. Par ye shehar kabhi kisi ke liye nahi rukta. Aise hi ek Monday ki subah thi. Shehar apne waqt se pehale hi uth gaya tha. Har koi apne kaam mein busy tha. Ye subah har office janewale ko logo ko boring lagti hai. Kyun ki weekend ke baad kaam par jana kisi ko achha nahi lagata. Par mera aisa nahi tha. Mere liye har ek din ek jaisa hi tha.

Mein bhi apne kaam ki shuruvat karne jaa raha tha. Bus, car , rickshaw ke horns ki aawaj, shops ke shutter khulne ki aawaj, bhangarwala, doodhwale ki aawaj, school nahi jana iss liye bachho ki rone ki aawaj inhi joro shoro se Bombay ne toh kabki apne din ki shuruvat kar li thi..

Par aaj shayd mein apne din ki shuruvat karne ke saath saath zindagi ki naye se shuruvat karne janewala tha..Aaj mujhe Magzines bechani thi, toh mein sab saman lekar ghar se nikal hi raha tha. Tab meri nazar samne ke zopadi ke yaha gayi. Waha pe ek ladki khadi thi, apne baal sukha rahi thi. Badi aankhein, kale baal, gulab jaise hoth. Mein bas usko dekhta hi reh gaya. Pehali nazar ka pyaar, wo kehate hai naa ‘Love at first sight’..itani angrezi toh sikh hi gaya tha mein. Mene uss ladki ko pehale to kabhi yaha nahi dekha tha. Thodi der baad wo andar ghar mein chali gayi. Par mein wahi pe dekh raha tha. Bus ka jor se horn baja, aur mein hosh mein aaya. Mene magazines liye aur bechane ke liye nikal pada. Mera aaj kaam par dhyan hi nahi lag raha tha.

Mein uss ladki ke baarein mein sab khabar nikalne mein jut gaya. Wo apne mama ke ghar rehane aayi thi. Uska mama usse gaav se yaha lekar aaya. Mama ke alawa uska koi nahi tha. Thodi der baad wo ladki phirse bahar aayi. Mama ji ghar par ek chotasa bachha bhi tha. Unke bade bête ka bachha. Wo ladki uske saath khel rahi thi. Meri nazar usse hatt hi nai rahi thi. 2-3 baar mushkil se uski nazar mujhpe gir gayi thi, par tab ghabrake mein apni nazar chura leta tha. 1 week aise hi nikal gaya. Mujhe usse baat karni thi…par Kaise???.. ye bohat bada sawal mere sapno mein aakar khada ho jata tha, aur neend khulne ke baad pure din bhar bhi uska jawab nahi dhoondh pata tha..

Uss din subah mein roj ki tarah kaam ke liye nikal raha tha..mene uske ghar ke pass dekha..wo waha pe nahi thi. Wo chota bachha ghar ke bahar khel raha tha. Mene ghar lock kiya aur peeche mud ke dekha tab wo bachha rengte rengte sadak pe aagaya tha. Signal choot gaya aur gaadiyan chalane lagi, Mein bhag kar gaya aur bachhe ko lekar sadak ke dusri aur kuud gaya. Bachha rone laga, wo ladki bahar hi khadi thi. Bohat jayada dari hui thi. Mene wo bachha uske haat mein diya, wo usse leker ghar mein chali gayi.

Raat ko mein garage se ghar aaya aur khana banana mein lag gaya. Mene dekha ki ghar ke bahar koi toh khada tha. Jab mene palat kar dekha toh mein khushise paagal hi ho gaya. Wohi ladki khadi thi. Usne mujhe ek plate di, jismein pakode the, usne kaha ki mene banaye hai. Phir usne kaha ki Thanku, agar aaj aap nahi hote toh pata nahi kya ho jata. Itana keh kar wo jaa rahi thi. Mein kuch bol hi nahi paya, aaj pehali baar mene uski aawaj suni, aur ab uske haat ke pakode khane jaa raha tha. Ab har roj jab mein usse dekhta, aur uski nazar mujhpe jati, toh wo bhi muskurati. Uski har uss smile par mera dil aa gaya tha. Shiddat wala pyaar ho gaya tha mujhe. Mein har wqat uske hi baarein mein sochta rehata tha, par kya wo sochati thi?? Kya wo bhi mujhse pyar karne lagi thi??..Mujhe nahi pata tha. Par ab usse baat karna bhi mene shuru kar diya tha. par mere ye sab sawal mein usse nahi puch sakta tha, shyad abhi toh nahi…Haa sirf uska naam Priti hai yahi mujhe pata chala tha.

Hum dono ko baat karneka itana wqat hi nahi milta tha. Uske ghar par koi na koi toh hota hi tha. Aur aadha samay toh wo uss chote bachhe ko liye rehati thi. Par uss din uske ghar wale shayd kahi bahar gaye the. Mene Priti se kaha ki, tum pehali baar Bombay aayi ho na, chalo aaj mein tumhe Bombay dikhta hu, hum bahar jate hai. Iss par uske chehare par alag hi expressions aaye, par dusre hi pal usne Haa keh diya, jisse mere chehare ke expressions badal gaye. Usne apna ghar lock kiya, aur mere saath aane ke liye tayar ho gayi. Mujhe aaj kisi bhi tarah usse apni dil ki baat kehani thi. Hum dono paas mein hi bus stop tha, waha par gaye. Hum dono ek bus mein chadh gaye. Mene usse kaha ki tumahre liye surprise hai. Usne muskurakar kaha batao na..? Mene Kaha tum khud hi dekh lena.

bandstand1

Usne Ek baar mujhse kaha tha ki usse samundar bohat pasand hai, aur usse samundar ke kinare pe baith kar doobte hue sooraj ko dekhana hai. Mein usse isliye Bandra Bandstand lekar aaya. Waha aate hi wo bohat khush ho gayi. Ussne mujhse pucha ki tumhe yaad tha..?? Mene kaha Haa yaad tha. Waha pe pehale se hi bohat saare couples the, toh baithne ke liye jagah nahi thi. Priti ke chehare pe thodi hichkhichahat aa gayi thi. Thodi der baad humein baith ne ke liye jagah mil gayi. Thandi hawa chal rahi thi aur samundar ki leharein halka sa shor kar rahi thi. Hum thodi der aise hi shant baithe rahe. Phir mene usse pucha ki tumhe kuch khana hai..?? Usne kaha nahi..Par tab mein utha aur usse kaha ki ruko mein 2 min mein  aaya. Mein waha pass mein sadak ke bagal mein bhutta wala tha, waha gaya. Mene 2 bhutte liye, mud ke mene dekha toh priti samundar ke pass dekh kar muskura rahi thi. Shayad uske dil ki baat wo samundar ko bata rahi thi. Waha pe ek choti bachhi gulab ke phool bech rahi thi, mene usse ek phool liya aur apne jeans ki pocket mein rakh diya.

Mein uske pass aaya, aur ek bhutta dekar pass mein baith gyaa. Usne kaha ki mene mana kiya tha naa..?? Mene kaha are baba yaha ka bhutta world famous hai..tum khakar to dekho. Wo ek ek daane kha rhi thi. bohat hi khoobsurat lag rahi thi. Mujhe pata tha ki shayd yahi wo lamha hai jab mujhe mere dil ki bat bata deni chahiye. Mene aankhein band ki aur khud ko hausala diya, ki chalo yahi waqt hai, jo kehana hai abhi kehado… Mein khada ho gaya, usne pucha Kya hua?? Mene kaha tumse kuch baat karni hai…Priti ko bhi shayad pata chal gaya tha ki mein kya kehane wala hu, par usne seham kar pucha Kya..??

Mene apne dil ko dhadkono ko normal hone diya, aur bolna shuru kiya….

“Mujhe nahi pata ki ye jaldbaji hogi, par mujhe der bhi nahi karni….Wo kehate hai naa jab hum dil ki baat dil mein hi rakhte hai, toh uss baat ke badale dil hamara hokar bhi hume taklif deta hai..”

“Mein ye nahi kahunga ki iss dil ki taklif hoo tum, par ab agar tum mere pass nahi hogi, to iss dil ko bohat taklif hogi.. Mein tumse bohat pyaar karta hu priti…Mujhse shadi karogi..??

Mene gulab ka phool nikala, aur apne ghootno pe baith gaya, jaise aksar filmo mein hero apni heroine ke liye karta hai…Ye sab dekh ke aur shayd shadi ki baat sunkar wo ekdum se chupp ho gayi, aur mere pass dekhti rahi, sab kuch tham sa gaya tha, mene dekha toh bohat log hume dekh rahe the, kuch toh tasveer bhi nikal rahe the, par ab mera dhyaan sirf priti par tha, usne muskura kar mujhse phool liya, aur “Haa” kaha…

Jiss pal usne haa kaha naa, wo mere jindagi ka sabse khoobsurat pal tha, jisko yaad karke ab bhi mein bohat khush hota hu. Thodi der hum, haath mein haath pakdkar wahi pe baithe rahe, aur doobte hue sooraj ko alvida kehane lage, kyunki ab meri zindagi ki nayi subah hone wali thi. Ab roj hum baatein karte, waqt milne par ghoomne bhi jaatein.

Ek din aise hi hum dono shamke waqt Marine lines ke yaha par baithe the. Tab hamare peeche koi toh aake khada ho gaya, mene mud ke dekha toh, priti ke mama khade the, bohat hi gusse mein lag rahe the, unhone priti ka haat pakad kar usko waha se chalne ko kaha. Aur mujhe kaske ek jhaapad lagaya. Kaha ki aaj ke baad iske aas pass bhi nazar aaye toh jaan le lunga tumhari… aur wo usse waha se lekar chale gaye. Mujhe pata tha unko shayd nahi achha laga hoga, par mein dusre din unke ghar pe gaya, tab wo ghar pare hi the, mene kaha mujhe baat karni hai aapse, mene sab kuch unko bataya. Unka ye kehna tha ki meri jo caste hai wo unke cast se match nahi hoti hai. Toh agar hum dono shadi karte hai to unke parivar aur samaaj mein unki koi ijjat nahi rahegi. Isliye wo hamare iss rishte ko nahi maan rahe the. Mene unhe kaha ki caste se kya hota hai mamaji, mein priti ko khush rakhunga,  tobhi wo kuch mane nahi, unhone mujhe waha se chale jane ko kaha. Hamare dil milne se pehale humari caste ka milna jaruri tha.

Priti bhi mere bina nahi reh sakti thi. Par uske mama usko ghar ke bahar jane hi nahi dete the. Ek din mauka dekh kar hum dono phirse mile. Bohat roo rahi thi wo. Mene usse samjahaya ki sab thik ho jayega. Mein phirse baat karunga mamajise. Usne kaha ki wo nahi manenge. Hum waha se nikal hi rahe the, ki 3-4 log aaye, unke saath mama bhi the. Mama priti ko lekar chale gaye, mene bohat rokne, samjahne ki koshish ki, par unhone meri ek naa suni, aur jo log aaye the, unhone mujhe pakad kar rakha tha. Wo mujhe apne saath lekar gaye. Aur ek jagah pe leke jakar mujhe bohat maara. Aur wahi mujhe raastein mein chod diya. Mein behosh ho gaya tha, subah jab utha tab Mujh mein chalne ki taakat bhi nahi thi. Ussi halat mein ghar ki aur nikal diya. Ghar jab phocha tab, mene priti ke ghar ke pass dekha, toh unka ghar band tha. Mene waha pe pucha toh pata chala ki, wo sab hospital mein gaye hai. Ek ne kaha ki, kal unke ghar pe bohat jhagda hoo raha tha, priti ke mama ne usko bohat mara, ussi mein priti ke sar pe chot aayi, aur wo behosh ho gayi. Usse yahi pass mein hospital mein lekar gaye hai. Toh saare wahi par hai. Itana sunkar mere pero talo ki jameen sarak gayi. Mein waise hi bhag kar hospital pohocha. Waha pe sab uske ghar wale baithe the. Uske mama aur mami mere pass aye, aur kehne lage, ki jo kuch bhi hua hai, sab tumhari wajah se hua hai, agar usko kuch hua naa toh uske jimmedar tum hoge. Mene unse kaha ki mujhe usse ek baar milna hai. Par unhone nahi jane diya.

Thodi der baad doctor bahar aaye, unhone mamaji ko bulaya, aur kaha ki ladki ke sar pe jyada chot lagi hai, aur khoon bhi jyada beh chuka hai, toh uski yaadash jaa chuki hai.bhagwan ka shukr hai ki wo koma mein nahi gayi. Unhone mere pass dekha, aur andar chale gaye. Mein bhi jaa raha tha, par mujhe nahi aane diya. Mene bahar se hi dekha toh, priti andar bed pe leti hui thi, machine, wires, dawaiyon ke beech. Wo sabke pass anjaan nazron se dekh rahi thi, shayad uski nazar mujhe dhoond rahi thi. Mein kisi tarah se andar gaya, par priti mujhe bhi nahi pehachaan rahi thi. Uski wo nazar mujhe jeete ji maar rahi thi. Mujhe waha se jaane ko keh diya. Wo usse ghar lekar aaye. Kabhi ghar ke bahar wo nikal ti nahi thi. Mein har rooj andar se toot raha tha. Mujhe pata chala ki priti ko paagalpan ka daura bhi pad raha tha. Aur uske ghar  walo ko ye sab ek bojh lag raha tha. Unhone ek din jakar priti ko paagal khane mein daal diya.

Ab mene faisala kar liya tha, ki mein priti ko kuch bhi ho waha se nikal kar leke aaunga. Uss din mein subah jaldi utha, mene jitana jaruri saman tha, sab pack kar liya. Mein ab iss Bombay ko chod kar janewala tha. Jitane paise mene jama kar rakhe the, sab nikal liye. Mujhe sabse pehale priti ko lene jana tha. Par mujhe nahi pata tha, ki mein kaise karnewala hu. Par mene dil se pakka kar liya tha, ki ab jeena hai to uski ke saath jeena hai. Mein waha pe pohocha. Jab mene priti ko dekha, bass dekhte hi mein rone laga. Jiss khoobsurt priti ko mene pehale baar dekha tha, aur mein pyaar gir gaya tha, aaj usko iss halat mein dekh kar mera dil roo raha tha. Wo chupchap mere pass dekh rahi thi. Mene usse kaha ki chalo hume yaha se jana hai, par usse kuch samjh hi nahi raha tha. Wo hasne lagti, phir chup ho jati. Aur phir rone lag jati. Mene uska haat pakada, aur waha pe jo wardon tha uski nazar chuka kar usse bahar le aaya.

Usse saath mein lekar jaane mein bohat problem hoo rahi thi. Wo kabhi beech mein chillati, hasati, sab log mujhe shaq ki nazar se dekh rahe the. Mene pehale hi train ki 2 ticket nikal rakhi thi. Mein apna sara saman lekar priti ke saath train mein chadh gaya. Uske ke liye khane ko mene le rakha tha, toh wo khakar priti soo gayi. Mene khidki ke bahar dekha, aur Bombay ko alvida kaha, yaha par mein paise kamane aaya tha, par ab yaha se meri sabse badi daulat, mera pyaar kamakar jaa raha tha. Yaha par jab pohocha, toh jitane paise mene kamaye the, unse ek ghar rent pe liya. Aur priti ke saath wahi pe rehane laga. Yaha par bhi garage mein kaam karne laga, aur jo kuch kaam milta, unse paise kama leta tha. Kabhi kabhi priti ko sambhalana bohat hi mushkil hoo jata hai, kyun ki usko jab daura padta hai, tab usko jitani taklif hoti hai, usse jyada mujhe hoti hai. Par kuch bhi hoo mein khush hu, bass wo mere saath hai naa, yahi mere liye kafi hai. Yaha pe ek Dr madam hai, unke pass mein priti ka ilaj karwa raha hu. Unhone kaha hai ki wo thik hoo sakti hai. Usse tumhare pyaar ki jarurat hai. Aur mujhe yakin hai mere pyaar ki taaqat mein, ek din meri roothi hui zindagi, meri priti jarur thik ho jayegi….

Ravi uss tasveer ko dekh raha tha, aur uske aankh mein aasu the. Wo mujhe kehane laga ki jiss din mene apne pyaar ka izahar kiya tha, tab jo muskurahat uske chahare pet hi, wohi mujhe ab usko lautake deni hai. Mene usse kaha ki mujhe priti se milna hai. Phir mein aur Ravi uske ghar ke aur nikale. Jab hum ghar pohoche, tab ghar ek kone mein priti ek gudiya ke saath khel rahi thi. Muhje dekh kar wo jara sa daar gayi. Par tab Ravi ne usko sab mere baarein mein bataya. Mene ravi ko tasveer de di, aur kaha ki isko apne pass hi rakho. Usne tab wo tasveer priti ko bhi di, usse dekh kar, ek halaki si hasi uske chehare pe aayi. Ravi uske pass baith gaya, aur dono wo tasveer dekhne lage. Mene unki kuch aur tasveerin li. Aur Ravi se kaha ki ab mujhe nikalana hoga. Mene usse kaha ki Priti ka khayal rakhna, aur hamesha aise hi rehana. Mene apna mobile no usse diya aur kaha ki kuch bhi jarurat padegi toh mujhe bata de naa.. aur mein waha se ghar ke liye nikal gaya.

Mein jaate jaate yahi soch raha tha, ki hamare society mein abhi bhi caste ko itani ehmiyat dee jati hai. Priti ko pyaar ki itani badi kimat chukani padi. Uske mama ne caste ki wajah se dono ko alag kiya. Usko mara, wo paagal ho gayi, par unko iss baat ka koi farak nahi pada. Unko toh ab aisa lag raha hoga, ki unka bojh kam ho gaya, aur haa iss society mein unki jhooti izzat barkarar rahi. Agar uske mama ne apne hi caste mein kisi se shadi karwayi hoti priti ki, aur wo ladka agar achha nahi hota, usko khush nahi rakhta, tab kya karte wo..Aaj apne desh mein caste ko itana importance diya jata hai, ek insaan se bhi badhkar, ye dekhakar dil tutata hai, aur daar bhi lagtaa hai…Par Ravi ne jo kadam uthaya, aur uske pyaar ke liye..Hats Off…..I hope and pray to god ki unka pyar aise hi rahe…God bless dem…

Leave a comment